Love Poem by shalom

Given below is a love poem titled Chale Jane ke Baad. If you liked this poem, please rate it. You can also submit your comment about this poem.

To return to Love Poems Index, Click Here

Chale Jane ke Baad

User : shalom
Submitted on : Jan 23, 2011
Haqiqaton ke qareeb aane ke baad,
Sajhe mohabbat ko Dil lagane ke baad,
Mujhe apna nahi, dukh uska hai,
Kaun chahega usko mere chale jane ke baad.

Jee na payenge hum uske bina ek pal bhi,
Saanse hmari thamti gayi uske chale jane ke baad,
Wo is kadar pyar se dekhti hai hume,
jaan jaise nikal gayi, unke muskurane ke baad.

Baithe baithe hi ro dete hai hum,
Kabhi kabhi muskurane ke baad,
Socha tha hath tham lunga uska,
Magar wo tamanna puri ho na saki,
Maut ke aa jane ke baad.

Chaha tha wo aye hmare janaze me,
Magar wo sharikh hue saans ruk jane ke baad,
Kehte hai wo ki ab kaun pyar karega unhe,
Unko ye samajh aya mere chale jane ke baad.

Socha tha ek din pighla dunga unka DIl,
Magar Dil pighla hume itna tadpane ke baad,
Dekh na payenge usko jate hue hum,
Jana hai to chali jaye magar mere mar jane ke baad.

Kehti hai wo dil me basa kar rakhegi hume,
Unko hmari kadar samajh me aayi, dil tut jane ke baad.,
Mujhe apna nahi, dukh uska hai,
kaun chahega usko mere chale jane ke baad.

--------SHALOM SIMON--------

~Shalom Simon

  • Love Letters
  • Love Quotes
⟲ Refresh